Kahdo In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen

Kahdo In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen
Itni Jagah Kahan Hai Dil-E-Daagdaar Main

Umr-E-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din
Do Aarzoo Me Kat Gaye Do Intezaar Main

Kitna Hai Badnaseeb Zafar Dafn Ke Liye
Do Gaz Zameen Bhi Mil Naa Saki Koo-E-Yaar Me

Advertisement