Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log..

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log..
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log..
Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy..
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log..
Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal..
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log..
Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha..
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log..
Main to shama hoon meri umar hi kiya hai..
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log…..WAsi

Advertisement