Wo ishq ki ibartein likhne chale

Wo ishq ki ibartein likhne chale
Jo ishq ki abc nhi hai jaante
Wo ishq ki ibartein likhne chale
Karte hain pyar ki badi badi baatein
Par mohabbat karna hi nhi jaante
Wo ishq ki ibartein likhne chale
Zara dil ke aaine me khudko dekhe,
Mohabbat ki tapish hain pachante
Wo ishq ki ibartein likhne chale
Ishq wafa ki baatein to kare zamana,
Is Sagarme kam hi tairna jaante
Wo ishq ki ibartein likhne chale…

Advertisement